Madine Wale Ke Qadmo Mein Mar Jata Toh Acha Tha!
Muqadar Unki Chaukhat Par Sanwar Jata Toh Acha Tha!!
Madina Jaa ke Kyun Tu Laut Aaya Apne Ghar Nadaa!
Are Kambakht Un Ke Dar Par Mar Jata Toh Acha Tha!!
Mauzan Kyun Zabaan Par La Raha Hai Naam Hazrat Ka!
Bilale Habshi Bann Waqt Sahar Jata Toh Acha Tha!!
Kataya Karbala Mein Fatima Ke Laal Ne Sar ko!
Aie Jahid Sajde Mein Tera Bhi Sar Jata Toh Acha Tha!!
Gaya Tha Khar Bhi Ek Deen Haj Ki Khatir saat Issa Ke!
Vo Haji Agar Ban Ke Guzar Jata Toh Acha Tha!!
Piya Hai Sheikh Tu Ne Wasle Haq Ka Ek Paimana!
Tu BeHoshi Ke Aalam Mein Hi Reh Jata Toh Acha Tha!!
MUNAWAR Ke Gulamon Mein Hoon DAWAR faqr Hai Mujhe Ko!
RAFEEQ Aaqa Ke Sang e Dar Par Mar Jata Toh Acha Tha!!