41.KUYE NABI HAI JANNAT

 

 

Aakse Rukhe Muhammad Dil Mein Basa Liya Hoon!

Naam Nabi Jo Aaya Sar Ko Jhuka Liya Hoon!!

 

Paye Nabi Pe Sajda Meraje Bandagi Hai!

Mein Aastane Ahmed Sarpar Utha Liya Hoon!!

 

Taiba Ki Har Galli Ka Jara Hai Ek Suraj!

Mein Khaqe Be Baha Ko Surma Bana Liya Hoon!!

 

Bagh e Aram Ki Hasrat Na Khuld Ki Tamana!

Kuye Nabi Hai Jannat Jannat Ko Pa Liya Hoon!!

 

Pur Noor Jalliyoon Par Qurban Meri Hasti!

Apni Har Ek Nazar Mein Manzar Sama Liya Hoon!!

 

Deedar Ho Raha Hai  Aab Mustafa Ka Mujhko!

Naam e Rasool e Akram Laab Par Jo La Liya Hoon!!

 

DAWAR Mera Mukhadar Meheshar Mein Kyun Na Chamke!

Darbar e Mustafa Mein Aasu Baha liya Hu!!

-+=
Scroll to Top