Padh Zabaan Se Kalma Tayyab Zaahidaan Ghaafil Hue
Dil Se Kalma Padhke Yaaro Aarifaan Aaqil Hue
Zaahiri Kar Ke Ibaadat Zahidaan Karte Hain Naaz
Baatini Kar Ke Ibaadat Aashiqaan Kaamil Hue
Khwahish-e-Jannat Ko Yaaro Zaahidaan Padhte Namaaz
Be Riya Kar Ke Ibaadat Aarifaan Waasil Hue
Deed Aur Deedaar Se Zaahid Yahaan Mehroom Hai
Aarifaan Aur Aashiqaan Deedaar Mein Shaamil Hue
Aarifon Ko Yaad Rehta Hai Sada Qaaloo Bala
Ulfat-e-Duniya Mein Phans Kar Zaahidaan Ghaafil Hue
Man Araf Ki Sair Kar Ke Aashiqaan Mein Kaamyaab
Wa’izan Jhagde Mein Pad Kar Aaj Kal Ghaafil Hue
Na Samajh Logon Se Gohar Hain Hamesha Door Door
Qurb-e-Haq Jo Paale Hain Haq Se Who Waasil Hue