Hamare Dil Ko Humein Se Sambhala Jaayega
Hamara Bojh Humein Se Uthaya Jaayega
Na Humsafar Na Kisi Hamnawa Se Kar Umeed
Hamare Dil Ko Humein Se Sambhala Jaayega
Kisi Ka Karke Bharosa Na Chhodna Kaanta
Hamara Kaanta Humein Se Nikala Jaayega
Misaali Banane Ki Koshish Jo Kar Raha Hoga
Use Zamana Tamasha Banaya Jaayega
Jo Jo Hari Hai Use Khoob Tajurba Hoga
Usi Ke Haathon Se Achha Tarasha Jaayega
Kisi Bhi Baat Ko Poshida Kar Ke Rakhna Ho
Na Ahl-e-Shikwa Se Har Giz Bataya Jaayega
Umeed Aas Bharosa Yeh Sab Na Rakh Dil Mein
Rakkhega Uska Janaza Uthaya Jaayega
Kaleja Kaat Ke Dushman Ke Samne Rakh De
Hansi Mazaak Usi Ka Udaya Jaayega
Ke Yeh Zamane Ka Dastoor Dekh Kar Daavar
Irada Kar Liya Dil Na Lagaya Jaayega