Ahad Ahmed Ke Parde Ko Uthale Kamiyabi Hai
Kisi Rahbar Ko To Apna Banale Kamiyabi Hai
Tu Ghaflat Chhod De Aur Chhod De Duniya Ki Ulfat Bhi
Isi Hasti Mein To Mairaaj Paale Kamiyabi Hai
Guroori Kar Ke Shaitaan Na Jhuka Aadam Ke Sajde Ko
Kisi Kaamil Ke Aage Sar Jhukaale Kamiyabi Hai
Lahad Mein Ja Ke So Kar Yeh Bata Kya Kya Kamaayega
Kamaana Jo Bhi Hai Yahan Par Kamaale Kamiyabi Hai
Kya Hai Be Intiha Sajde Magar Shaitaan Kya Paaya
Riya Kaari Se Apne Ko Bachaale Kamiyabi Hai
Tamanna Hoor O Jannat Ki Rahi Dil Mein To Kya Haasil
Yahin Par Paarsa Dil Ko Banaale Kamiyabi Hai
Pakad Kar Daaman-e-Daavar Kamaale Hashr Ka Tosha
Inhi Se Nekiyan Saari Kamaale Kamiyabi Hai