113. Nazar Ka Maikada

 

Aankhon Ki Is Gali Mein Hai Ek Sharab Khana
Peeta Hi Aa Raha Hai Sadiyon Se Yeh Zamana

 

Aankhon Ke Maikade Ka Hai Nizaam Kuch Nirala
Ae Nazar Se Peene Wale Tu Nazar Nahin churana

 

Maikash Ho Ya Ho Saqi Sab Par Yahi Hai Lazim
Yahan Zarf Hai Zaroori Warna Nahin Pilana

 

Yeh Nazar Ka Maikada Hai Yahi Saqiya Ka Ghar Bhi
Yeh Sharab Mein Chhupa Hai Irfaan Ka Khazana

 

Yeh Sharab Zindagi Mein Jise Mil Gayi Ganimat
Hai Azal Se Ta Qayamat Yeh Sharab Ka Fasana

 

Yahan Ahl-e-Zarf Ko Hi Yeh Sharab Hai Mayassar
Yeh Sharab Sarwari Aasaan Nahin Yeh Paana

 

Yeh Nazar Ke Maikade Ki Saare Talaash Mein Hain
Dawar Ko Mil Gaya Hai Yeh Sharab Ka Thikana Hai

-+=
Scroll to Top