Ya Rasool Allah Mujhko Shauq Hai Deedaar Ka
Ho Inaayat-e-Deed Mujh Ko Aap Ke Rukhsaar Ka
Chashm-e-Giryaan Dil Hai Naadim Ya Muhammad Mustafa
Dam Labon Par Aagaya Hai Ab Tere Beemaar Ka
Roz-o-Shab Dikhlade Mujhko Deed Apni Dam Ba Dam
Sun Lo Yeh Faryaad Meri Banda Lachaar Ka
Ya Nabi Ji Aap Ke Main Deed Ka Mushtaaq Hoon
Chehra Ab Dikhla To Mujhko Jalwa-e-Anwaar Ka
Murgh-e-Bismil Ka Tadapta Hoon Judaai Mein Sadaa
Dekhne Deedaar Hardam Sayyid Abraar Ka
Hind Se Gohar Ko Yashrab Mein Bulaalo Ya Nabi
Hai Tamanna Dil Mein Mere Aap Ki Deedaar Ka