Khud Ki Tujhko Nahin Pehchaan Tujhe Kya Maloom
Tu Hai Naadaan Ka Naadaan Tujhe Kya Maloom
Jaan Le Zaahir O Baatin Mein Hai Matlab Saara
Kyunki Tu Aise Hai Anjaan Tujhe Kya Maloom
Ba Se Bunyaad-e-Bashar Seen Se Sirr-e-Subhaan
Do Hi Baato Mein Hai Irfaan Tujhe Kya Maloom
Dairo O Kaaba Mein Khuda Ko Tu Kahaan Paayega
Woh To Dil Hi Mein Hai Mehmaan Tujhe Kya Maloom
Rooh Murda Hai Teri Dil Tera Murda Hai
Kis Pe Qudrat Hai Meherbaan Tujhe Kya Maloom
Yeh Jo Duniya Hai Samajh Le Ke Haseen Dhoka Hai
Is Mein Jo Phas Gaya Naadaan Tujhe Kya Maloom
Zaahida Tu Na Sikha Aake Sabaq Daawar Ko
Woh Hai Irfaan Ka Sultan Tujhe Kya Maloom