Museebat Mein Janab-e-Ghous Se Faryaad Karta Hoon
Ghamon Se Paake Chutkara Mein Dil Ko Shaad Karta Hoon
Janab-e-Ghous Ki Ulfat Se Beda Paar Hota Hai
Sada Unki Mohabbat Se Mein Dil Aabaad Karta Hoon
Main Hoon Unka Deewana Dosto Roz-e-Azal Hi Se
Madad Unse Hi Leta Hoon Talab Imdaad Karta Hoon
Mera Har Kaam Ban Jaata Hai Unki Dastgeeri Se
Main Unka Naam Lekar Kaam Ko ijaad Karta Hoon
Hai Unke Naam Mein Taaseer Yaaro Ism-e-Azam Ki
Museebat Bhaag Jaati Hai Jab Unko Yaad Karta Hoon
Janab-e-Ghous Ke Rutbe Ko Zahid To Na Samjhega
Zara To Gour Se Sun Le Main Ab Irshaad Karta Hoon
Mubarak Naam Ghaus-e-Paak Lab Par Jab Mere Aaya
Hoon Dawar Kaamyabi Paake Dil Ko Shaad Karta Hoon