Ghous Wala Pe Dil Se Balhar Hai
Jaan Wo Dil Ghous Par Se Nisaar Hai
Peer Peeron Ke Hain Mere Shaah-e-Zaman
Shehar Baghdad Hai Khaas Apna Watan
Shaah-e-Jeelan Ka Baghdad Mazaar Hai
Ek Raavi Se Hai Ek Karamat Aap Ki
Koi Jaane Na Jaane, Khuda Hai Gawah
Kar Raha Hoon Bayaan Izhar Hai
Chand Ladkon Ke The Aap Saath Hi Janaab
Khelte The Jo, Ladkon Se Goli Shitab
Dil Lubhate The Wahan Par Sarkar Hai
Aap Shaamil Hue Khel Mein Jab Wahan
Khelte The Wahan Aap Ghous-e-Zaman
Khel Kya Jam Gaya Tha Ek Baar Hai
Ek Ladke Ki Goli Ko Maare Janaab
Maar Baqi Hua Aap Ko Wo Sahab
Baqi Le Bhaaga Ladka, Faraar Hai
Ghar Mein Jab Ja Ke Ladka Wo Daakhil Hua
Ek Ba Ek Kha Ke Ghash Wo Gira Mar Gaya
Maut Kya Khoob Thi Ek Baar Hai
Dost Aqaarib, Jama Ho Gaye Hain Tamaam
Dafn Ki Taiyaari Kar Daale Mil Khaas-o-Aam
Le, Janaaza Hua Ghar Se Baahar Hai
Logon Mein Mach Gaya Ek Ghogha Idhar
Khel Se Ghar Ko Aaya Kiya Wo Safar
Kya Hai Ye Bhed Naadir, Guftaar Hai
Jis Jagah Khelte The Wo Peeron Ke Peer
Ladke Hamraah Kehne Lage Dastageer
A Wo Mayyat Hai Jo Ladka Faraar Hai
Aap Ka Maar Baqi Wo Lekar Gaya
Jab Wo Aaya Hai Dekho Ae Murda Bana
Baqi Pucho Ae Jaata Mazaar Hai
Aap Ka Maar Baqi Nahi Hai Diya
Ho Kharaaj Daar Jaata Janaaza Chadha
Wahi Ladka Jo Yahan Se Faraar Hai
Ghous Wala Ne Kehne Lage Bhai Jaan
Wo Janaaza Idhar Laao, Dekhun Jawaan
Dekh Bola Kahan Jaat Maar Hai
Ghous Wala Ke Munh Se Ye Nikla Shitab
Kood Ladka Janaaze Se Bola Jawaab
Bola, Khelo Main Deta Hoon Maar Hai
Dekh Haalat Ko Mayyat Ki Aalam Tamaam
Qadam Pe Ghous Ke Gire Yahudi Mudam
Deen Apna Qubool-e Ek Baar Hai
Hai Tumhara Munawwar Ali Shah Ghulaam
Dast Basta, Khada Dar Pe Hai A Mudam
Aap Se Iski Armaan Chaar Hai
Sar Pe Saaya, Mureedon Ke Apna Rahe
Maqsad Har Ek Ka Bar Aaye Jo Aap Se
Hain Ye Apne Ghulaama Sarkar Hai
Bhar Do Noor-e-Haqeeqi Se Seene Tamaam
Faiz Apna Rahe, Khaadimon Pe Mudam
Dua Munawwar Ki Tum Se Har Baar Hai