Shehr-e-Aalam Mustafa Aur Darwaza Ali
Abu Turab Unka Laqab Aur Hai Kya Kya Ali
Hain Ali Sher-e-Khuda Bhi Aur Hain Mushkil Kusha
Hain Ali Dast-e-Yadullah Aur Wajhullah Ali
Aap Ke Fazl-o-Karam Se Deen Zinda Ho Gaya
Shukriya Sad Shukriya Aapka Hai Ya Ali
Dekhlo Man Kuntu Maula Keh Diye Hain Mustafa
Main Raha Hoon Jinka Maula Unke Hain Maula Ali
Jo Ali Ke Dost Honge Who Wali Ban Jayenge
Aap Ke Daman Ko Jisne Bhi Yahan Tha Ma Ali
Aap Ka Naam-e-Mubarak Dil Pe Mere Naqsh Hai
Main Piya Hoon Aap Hi Ke Naam Ka Piyala Ali
Aap Ke Rutbe Ko Dawar Jaan Kar Pehchaan Kar
Jaan-o-Imaan Se Hua Hai Aap Pe Sheeda Ali