Allah Ke Rasool Ko Apna Bana Ke Dekh
Aata Hai Kya Maza Unhein Dil Mein Basa Ke Dekh
Parwardigar Ko Bhi Muhammad Se Pyaar Hai
Tu Bhi Rasool Paak Ki Ulfat Mein Aa Ke Dekh
Aajayega Samajh May Muhammad Ka Martaba
Ishq-e-Rasool Paak Mein Hasti Mita Ke Dekh
Ishq-e-Rasool Paak Bachata Hai Hashr May
Ishq-e-Rasool Paak Ki Daulat Kama Ke Dekh
Allah Ko Dekhna Hai Muhammad Ko Dekh Le
Yeh Dono Ek Noor Hain Sajde Mein Ja Ke Dekh
Thukra Diya Waseela To Kya Khaak Payega
Ghaflat Ko Apne Dil Se Tu Jaldi Bhaga Ke Dekh
Sadqa Rasool Paak Ka Dawar Ko Mil Gaya
Deedaar-e-Mustafa Hai Mere Ghar Mein Aa Ke Dekh