Huwa Hoon Jab Se Nabi Pe Shaida Main Girte Girte Sambhal Gaya Hoon
Sikhaye Mujhko Sabaq Who Aisa Kufr Se Bachkar Nikal Gaya Hoon
Meri Fana Mein Baqa Chhupi Hai Yaqeen Jaano Yaqeen Maano
Mara Nahin Hoon Qasam Khuda Ki Libaas-e-Hasti Badal Gaya Hoon
Rasaai Meri Wahan Talak Hai Jahan Farishte Na Ja Sakeinge
Main Ishq-e-Ahmed Ko Dil Mein Le Kar Wahan Se Aage Nikal Gaya Hoon
Meri Ibadat Sada Yahi Hai Gham-e-Nabi Ko Talaash Karna
Main Unke Raste Pe Chalte Chalte Unhi Ke Sanche Mein Dhal Gaya Hoon
Azal Se Lekar Main Ta Abad Ki Yeh Zindagi Ko Hoon Maang Laya
Ajal Bhi Hairaan Hai Hamesha Qaza Se Bachkar Nikal Gaya Hoon
Main Jee Raha Hoon Hai Rasm-e-Duniya Jahan Mein Rehna Rivaaj Bhi Hai
Guzar Kar Din Jo Hain Muqarrar Fana Jahan Se Main Chal Gaya Hoon
Zamane Walon Bagaur Dekho Mara Nahin Hoon Kiya Hoon Parda
Hazaar Sadiyon Ke Baad Dawar Lagega Aisa Ki Kal Gaya Hoon