Kabhi Apne Dar Par Mujhe Bhi Bulana
Jabeen Ke Liye Hai Tera Aastana
Yu’n Hi Door Kab Tak Rahoon Mere Aaqa
Dayaar-e-Madina Mujhe Bhi Dikhana
Nazar Band Ki To Madine Mein Pohunchoon
Tasawur Nigahon Mein Aaqa Jamana
Tumhein Saqi Hauz-e-Kausar Ho Aaqa
Mujhe Apne Haathon Se Wahdat Pilana
Hoon Mushtaaq-e-Deedaar Main Muddaton Se
Zara Meri Aankhon Ko Jalwa Dikhana
Jabeen-e-Mohabbat Kahi Ja Rahi Hai
Salamat Rahe Aap Ka Aastana
Yeh Doori Kahan Tak Ke Dawar Sahenge
Nabi Aap Deedaar Apna Dikhana