Jo aaye hain insaan bankar zameen par Vo noor-e-Khuda hain hamare Muhammad
Shafaat ke bais yaqeenan wohi hain wohi dilruba hain hamare Muhammad
Balaayein museebat talate wohi hain har ek ummati ko bachate wohi hain
Mareez-e-muhabbat unhein yaad karle Vo khud hi dawa hain hamare Muhammad
Khuda ki qasam hai hamare Muhammad hain awwal se awwal aur aakhir se aakhir
Vo parda to hain lekin dil ki zameen mein hayaat-o-baqa hain hamare Muhammad
Nahi unka saaya pada is zameen par to laazim nahi hai bashar unko kehna
Vo noor-e-mujassam khudai ke maalik Vo salla ala hain hamare Muhammad
Ae zahid bata de tujhe kya hua hai tu noor-e-Khuda ko bashar keh raha hai
Tu andha azal ka nahi unko dekha Vo noor-e-huda hain hamare Muhammad
Khuda jinka aashiq khuda jinka shaida Vo mukhtar-e-alam Vo noor-e-mujassam
Unhein apne jaisa samajhna gunaah hai khuda ke khuda hain hamare Muhammad
Baroz-e-qayamat Muhammad ke peeche shafaat ki khaatir sabhi honge daawar
Kiya jin se Maula hai bakhshish ka wada wohi Mustafa hain hamare Muhammad