Hayate Nabi Mein Fana Ho Gaya Hoon
Mai Unki Nazar Se Baqa Ho Gaya Hoon
Analhaq Ka Charcha Karoon Har Gali Mein
Fana Fi Rasool Khuda Ho Gaya Hoon
Hua Hoon Fana Sheikh Ke Har Hukm Par
Main Hukm-e-Khuda Murshida Ho Gaya Hoon
Dawakar Gar Na Kare Aashiqon Ko
Main Aashiq Ke Dil Ki Dawa Ho Gaya Hoon
Siyah Kariyon Ki Hashr Mein Shafaat
Dua Ki Badolat Dua Ho Gaya Hoon
Khuda Aur Muhammad Ka Dil Jo Bhaye
Main Un Aashiqon Pe Fida Ho Gaya Hoon
Baroz-e-Hashr Aayenge Log Daawar
Khuda Mustafa Ka Gawah Ho Gaya Hoon