Skip to content
Lab Pe Hai Subaha Sham Bismillaha!
Hai Yahi Ek Qalam Bismillaha!!
Naaz Lohe Va Qalam Ko Behaad Hai!
Kithna Uncha Maqam Bismillaha!!
Kaam Ki Ibthada Hai Bas Iss Se!
Padiyeh Peheley Yeh Naam Bismillaha!!
Iss Ki Barkath Se Saab Huyeh Waqeef!
Tohafa-e-Khaas Wa Aam Bismillaha!!
Shak Hai Tum Ko Toh Quraan Ko Dekho!
Saab Se Peheley Hai Naam Bismillaha!!
Iss Ko Taweez Samjho Dill May Rakho!
Hai Khuda Ka Payam Bismillaha!!
Yaad Rakhiyeh Sujood se peheley!
Hai Yeh Waqth-e-Qayam Bismillaha!!
Kyun Na DAWAR Karoon Mai Wird Iss Ka!
Khub Se Khub Naam Bismillaha!!
-+=