Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Yeh Zameen Jab Na Tha Yeh Falak Jab Na Tha
Kis Jag Aur Kaise Tha Yeh Maa-siva
Kaun Ultha Bhala Parda Is Raaz Ka
Pooch Dil Se To Apne To Dega Pata
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Jab Ke Tanha Tha Khalaq-e-Har Do Sada
Josh Wahdat Mein Bhara Muhammad Kaha
Jalwa-E-Kun Se Noor Muhammad Hua
Aur Faikun Se Takhleeq-e-Kul Ho Gayi
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Hei’n Unhi Ke Hai Dam Se Dono Jahan
Vo Na Hote To Kuch Bhi Na Hota Yahan
Yeh Zameen Aur Zamaan Gulshan Bahr-O-Bar
Jhoom Kar Ke Pukare Hain Shams-O-Qamar
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Baad Azan Haq Ne Adam Ko Paida Kiya
Raaz Jo Kuch Tha Adam Par Zahir Kiya
Sun Malaik Ne Adam Ko Sajda Kiya
Aur Adam Ne Uska Wazifa Kiya
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Tu Ne Yusuf Ko Adna Se Aala Kiya
Ibn Dawood Ko Shah Duniya Kiya
Tu Ne Firaun Ko Gharq-e-Dariya Kiya
Tu Ne Musa Ko Dariya Mein Rasta Diya
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Tu Hi Musa Ko Be-Hosh Hai Kar Diya
Aur Muhammad Ko Meraj Hai De Diya
Ganj Gohar Ko Tu Ne Yeh Rutba Diya
Aur Munawwar Ko Aisa Muqaddas Kiya
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu