152.QURAAN

 

 

Zaban Pe Leke Mein Quraan Ki Kudrat Beshumar Aaya!

Sare Mehfil Mein Lekar Tees Paara Aashakaar Aaya!!

 

Hai Usme Ek Sau Par Chauda Soore Gaur Se Sunlo!

Aur Aayat Chah (6) Hazaar ChahSau chasat Ye Lab Par Baar Baar Aaya!!

 

Hai Usme Teen Lakh Tentees Hazaar Aur ChahSau Yekahttar!

Yehi Alfaaz Quraan Leke Momeen Raaz Daar Aaya!!

 

Hai Chauda Sajde Quraan Mein Ruku Mein Panch Sau Chasat!

Hai Allah Do Hazaar Aur panch Sau Assi Pe Chaar Aaya!!

 

Mohammad Chaar Jaa Likha Aur Ahmad Ek Jagah Likha!

Ke Attais Paigambar Ka Naam Ab Baar Baar Aaya!!

 

Jo Hai Ikhlaas Ki Surah Fateh Ek Zer Hai Usme!

Jo Hai Ek Pesh Inna Aa Taina Bas Ek Baar Aaya!!

 

Jo Hai Yaseen Ka Surah Wahi Quraan Ka Dil Hai!

Magar Hai Surah Rehmaan Dil Mein Barkarar Aaya!!

 

Bani Hai Fatiha Ki Surah Bas Ek Taaze Quraani!

Ke Hai Ekkis Huruf Usme Mere Parwardigaar Aaya!!

 

Hai Isme Panch Surah Hamd Ki Tasbeeh Ki Surah Saat!

Mukammil Hogaya Quraan Mujhe DAWAR Karar Aaya!!

-+=
Scroll to Top