Yaa Nabi Salaam Alaikum Marhaba Yaa Marhaba!
Yaa Rasool Salaam Alaikum Marhaba Yaa Marhaba!
Salawatula Alaikum Marhaba Yaa Marhaba!!
Momino Ke Peshwa Ho Aasiyon Ke Rehnuma!
Aasra Yateemm Ka Tu Bekaso Ki Ho Sadaa!
Kya Ho Aapki Sanaa Marhaba Yaa Marhaba!!
Tum Khuda Ke Pyaare Ho Falak Ke Wo Sitaare Ho!
Khudai Sadke Aap Par Khuda Ke Ek Nazaare Ho!
Aap He Aap Hai Bakaa Marhaba Yaa Marhaba!!
Rounake Hayath Ho Mataye Kayenath Ho!
Nek Naam Nek Dil Ho Markaze Sifaat Ho!
Sab Hai Aap Par Fida Marhaba Yaa Marhaba!!
Chehra Shams Aapka To Zulfe Lail Baa Khuda!
Kaali Kamli Dosh Par Azal Se Sidak Wa Baa Safa!
Humko Apna Aasra Marhaba Yaa Marhaba!!
Aapke Kadam Mein Aaqa Bas Gulami Chahiye!
Is Gareeb wa Naatwaa Ko Darpe Ab Bulayeyee!
DAWAR Hai Aap Par Fida Marhaba Yaa Marhaba!!