Ya Nabi Salaam Alaika Yaa Rasool Salaam Alaika!
Ya Habib Salaam Alaika Salawatula Alaika!!
Salaam Uspar Ke Jisne Humko Raahe Haq Dikhaya Hai!
Salaam Uspar Ke Jisne Maula Se Humko Milaya Hai!
Salaam Uspar Ke Jisne Dar se Insaani Sikhaya Hai!
Salaam Uspar Ke Jisne Kufr Se Humko Bachaya Hai!
Ya Nabi Salaam Alaika Yaa Rasool Salaam Alaika!
Ya Habib Salaam Alaika Salawatula Alaika!!
Salaam Uspar Ke Jisne Roshni Di Hai Ujaalo Ko!
Salaam Uspar Suna Hai Jisne Majbooro Ke Naalo Ko!
Salaam Uspar Banaya Phool Jisne Dil Ke Chalo Ko!
Salaam Uspar Utaya Raah Se Jo Girne Walo Ko!
Ya Nabi Salaam Alaika Yaa Rasool Salaam Alaika!
Ya Habib Salaam Alaika Salawatula Alaika!!
Salaam Uspar Ke Jiske Noor Se Roshan Hua Imaan!
Salaam Uspar Ke Jis Par Arsh Se Naazil Hua Quraan!
Salaam Uspar Gareebo Bekaso Par Jiska Hai Ehsaan!
Salaam Uspar Khuda Ki Kul Khudayi Jis Pe Hai Qurbaan!
Ya Nabi Salaam Alaika Yaa Rasool Salaam Alaika!
Ya Habib Salaam Alaika Salawatula Alaika!!
Salaam Uspar Ke Jiske Naam ko Hum Chum Lete Hai!
Salaam Uspar Ke Jis Ka Naam Sab Masoom Lete Hai!
Salaam Uspar Ke Jiske Naam Se Mafhoom Lete Hai!
Salaam Uspar Aye DAWAR Hum Madeena Ghum Lete Hai!
Ya Nabi Salaam Alaika Yaa Rasool Salaam Alaika!
Ya Habib Salaam Alaika Salawatula Alaika!!