138.PEER LASANI KE PAAS

 

 

Kyaa Nahi Milta Hai Humko Peer Lasani Ke Paas!

Rabbe Akbar Ka Hai Jalwa Gaus Jeelani Ke Paas!!

 

Ek Nazar Mein Chor Ko Abdaal Ka Rutba Mila!

Ye Hai Ek Adnaa Karamat Kutube Rabbani Ke Paas!!

 

Cheen Li Jambil Israel Se Ek Aan Mein!

Maut Bhi Hairan Thi Mehboobe Subhani Ke Paas!!

 

Dulha Dulhan Laut Aaye Baara Barso Ke Bhi Baad!

Saans Leta Hai Karishma Kaamil Insaani Ke Paas!!

 

Ek Khatra He Sahi Lekin Bakaa Hai Jalwagar!

Saare Dariyaa Hech Hai Baghdad Ke Paani Ke Paas!!

 

Peene Walo Shart Hai Aana Na Har Geez Hosh Mein!

Hai Sharabe Marifat Husnain Ke Jaani Ke Paas!!

 

Gause Aazam Ke Ajal Se Chahne Walo Mein Hu!

Hum Kabhi Aye Nahi DAWAR Pareshani Ke Paas!!

-+=
Scroll to Top