113.IRFAAN KYA CHEEZ HAI

 

 

Samjh Le Tu Insaan Kya Cheez Hai!

Ye Abd Aur Rab Jaan Kya Cheez Hai!!

 

Ye Nukta Nahnu Ka Mila Jo Kisi Ko!

Ye Daulat Ye Irfaan Kya Cheez Hai!!

 

Tu Man Arf Ko Sikh Murshad Se Pehle!

Ye Lafzo Ko Pehchaan Kya Cheez Hai!!

 

Khudi Chod Zaheed Tu Bahar Nikal Aa!

Jara Khud Ko Pehchaan Kya Cheez Hai!!

 

Tu Dar Dar Ki Thokar Na Khaa Mere Bhai!

Samjh Le Ke Insaan Kya Cheez Hai!!

 

Ala Insaan Sirri Ko Samjha Hai Jisne!

Fir Uski Jo Hai Shaan Kya Cheez Hai!!

 

Mila Jisko Ye Ilm DAWAR Yahan Se!

Samjh Uski Fir Shaan Kya Cheez Hai!!

-+=
Scroll to Top