Bhulenge Rasta Na Tere Jalwa Gaah Ka!
Dar Se Tere Mila Hai Pata Sidhi Raah Ka!!
Tolaa Dikha Ke Keh Diya Mujhko Ilaa Bhi!
Matlab Samjh Mein Aagaya Ab Laa Ilaah Ka!!
Kandho Pe Leke Firte Ho Har Kucha Har Dayaar!
Zaheed Tumhare Sar Pe Hai Bistar Gunaah Ka!!
Seme Libaas Ko Bhi Wo Rutbaa Nahi Naseeb!
Jo Martaba Hai Sheikh Libaase Siyaah Ko!!
Baabe Kabul Tak Hai Rasai Gulam Ki!
Taasir Se Hai Rishta Duao Ki Aah Ka!!
Auro Pe Tera Lakh Karam Hai To Kya Hua!
Mein Muntazir Hun Bazm Mein Teri Nigaah Ka!!
Aezaaz Mere Waste DAWAR Ye Kam Nahi!
Adna Mein Ek Gulam Hu Aalam Panaah Ka!!