Bhoolenge Rasta Na Teri Jalwa Gaah Ka
Darse Tere Mila Hai pata Seedhi Raah Ka
Auron Pe Tera Laakh Karam Hai To Kya Hua
Main Muntazir Hoon Bazm Mein Teri Nigaah Ka
Baab-e-Qubool Tak Hai Rasaai Ghulam Ki
Taseer Hai Zabaan Mein Duaon Ki Aah Ka
Kandhon Pe Le Ke Phirte Ho Har Kocha Har Dayaar
Zaahir Tumhare Sar Pe Bistar-e-Gunaah Ka
To la Dikha Ke Keh Diya Mujh Ko Ilah Bhi
Matlab Samajh Mein Aagaya Ab La Ilah Ka
Shahi Libaas Ko Bhi Who Rutba Nahin Naseeb
Jo Martaba Hai Sheikh Libaas-e-Siyaah Ka
Aizaz Mere Waaste Dawar Yeh Kam Nahin
Adna Main Ek Ghulam Hoon Aalam Panaah Ka