Saamne Sarwari Peshwa Hai Maang Lo Jo Tumhein Maangna Hai
Yahi Konain Ka Badshah Hai Maang Lo Jo Tumhein Maangna Hai
Yahi Deta Hai Sab Ko Sab Se Aur Dilata Sabhi Ko Yahi Hai
Saare Aalam Ko Isi Ki Ata Hai Maang Lo Jo Tumhein Maangna Hai
Jis Pe Nazar Karam Yeh Karega Uska Bigda Muqaddar Banega
Yeh Yaqeenan Hi Khair-ul-Wara Hai Maang Lo Jo Tumhein Maangna Hai
Yeh Haqeeqat Mein Ghaibi Gani Hai Ghaib Ke Sab Khazane Isi Ke
Aashiqon Ka Yahi Dilruba Hai Maang Lo Jo Maangna Hai
Hum Ko Matlab Sada Hai Isi Se Aur Kisi Se Humein Wasta Kya
Hum Ghulamon Ka Yeh Mud’ua Hai Maang Lo Jo Tumhein Maangna Hai
Is Ki Marzi Par Hum Ko Hai Chalna Is Ko Har Haal Raazi Hai Karna
Bas Isi Se Humein Wasta Hai Maang Lo Jo Tumhein Maangna Hai
Hum Sabhi Ko Hai Haajat Isi Se Yeh Hamara Hai Haajat Rawaai
Hum Sabhi Ka Yeh Haajat Rawa Hai Maang Lo Jo Tumhein Maangna Hai
Hum Ko Rasta Yeh Seedha Dikhaya Aur Imaan-e-Kamil Banaya
Raah-e-Haq Ka Bhi Yeh Rahnuma Hai Maang Lo Jo Tumhein Maangna Hai
Jitne Aaye Hain Dar Par Sawali Saare Bhardo Muradon Se Jholi
Lutf-e-Dawar Karam Bat Raha Hai Maang Lo Jo Tumhein Maangna Hai