Bigdi Banane Wale Banda Nawaz Khwaja
Qismat Jagane Wale Banda Nawaz Khwaja
Saaye Mein Gesu’on Ke Lejayenge Hashr Tak
Hum Ko Bachane Wale Banda Nawaz Khwaja
Gesu’on Daraaz Apni Charcha Hai Aashiqi Ka
Aashiq Banane Wale Banda Nawaz Khwaja
Parwaaz La-Makaan Ki Mushkil Nahin Hai Inko
Rab Se Milane Wale Banda Nawaz Khwaja
Bigda Hua Muqaddar Pal Mein Sanwarte Hain
Emaan Sajane Wale Banda Nawaz Khwaja
Banda Nawaz Khwaja Qudrat Ke Raazdaan Hain
Irfaan Sikhane Wale Banda Nawaz Khwaja
Darbaar Mein Tumhare Dawar Jo Aagaya Hai
Rutba Badhane Wale Banda Nawaz Khwaja