Museebat Mein Pukarunga Bachane Aapko Khwaja
Meri Bigdi Hui Bigdi Banane Aapko Khwaja
Mere Khwaja Ne Aakar Dars Baksha Deen Ahmed Ka
Tumhein Baghdad Se Bheja Sikhane Aapko Khwaja
Yahan Par Aapko Bheja Ban Kar Deen Ka Rahbar
Khuda Ke Deen Ka Rasta Chalanay Aapko Khwaja
Kufr Ko Tod Kar Islam Ke Jhande Ko Lehrane
Who Baksha Hai Karamat Ke Khazane Aapko Khwaja
Shahenshah Bhi Faqiron Ko Sada Tasleem Karte Hain
Shahenshah Aaye Apne Sar Jhukane Aapko Khwaja
Nawazish Hum Ghareebon Par Kiye Hum Ban Gaye Khadim
Hamesha Yaad Karte Hum Deewane Aapko Khwaja
Yahan Islam Aayega Na Tha Wahm O Gumaan Dawar
Kahan Bheja Khuda Danka Bajane Aapko Khwaja