Ya Shah E Ajmer Bas Itna Karam Farmaiye
Aapka Mujhko Bana Lo Ya Mere Ho Jaiye
Aap Ke Peer Maghan Usman Ka Tumko Wasta
Chahane Walon Ko Apne Aur Na Tadpaaiye
Chhe Chiragon Ki Tumhein Khwaja Piya Maghdar Hai
Aap Mere Dil Ke Andar Shama Bankar Aaye
Aap Ka Deewana Do Alam Mein Yun Sarshar Ho
Aap Mere Rehnuma Ho Jaan E Jaan Ban Jaiye
Aap Ki Adna Karamat Kufr O Zulmat Mit Gayi
Aaj Phir Koi Karamat Aapki Batlaaiye
Mazrat Hai Iltija Hai Yeh Shah E Ajmer Se
Sabko Bakshe Hain Muraden Meri Bhi Barlaaiye
Auron Ki Tarah Meri Minnat Nahin Khwaja Piya
Meri Minnat Bas Yehi Hai Tum Mere Ho Jaiye
Aap Aal E Mustafa Hain Main Ghulam E Mustafa
Mere Dil Ke Ghar Ke Andar Aake Tum Reh Jaiye
Ae Moinuddin Chishti Hai Yeh Dawar Ki Murad
Tum Se Hi Manga Hai Tumko Na Nahin Farmaaiye