79.ZIKRE BUTA KARTE TO KYA HOTA

 

 

Khuda Ko Aur Sanam Ko Hum Aaya Karte To Kya Hota!

HaramWa Dair Ka Kissa Bayan Karte To Kya Hota!!

 

Kiye Sajda Bute Kafir Ko Hungama Hua Barpa!

Jabi Apni Rehne Aastana  Karte To Kya Hota!!

 

Sanam Ka Tajkara Hum Ne Kiya Khud Apni Mehfil Mein!

Agar Kaabe Mein Hum Zikre Buta Karte To Kya Hota!!

 

Chalo Acha Hua Hum Ne Sanam Se Dosti Karli!

Ibadat Masjido Mein Rayenga Karte To Kya Hota!!

 

Hum Unko Rubaru Jaakar Unhi Ki Daastan Rakhdi!

Kahani Aap Hum Apni Bayan Karte To Kya Hota!!

 

Jubaan Ku Kaat Di Usne Jara Izhar Par Apne!

Agar Kuch Aur Hum Lambi Jaban Karte To Kya Hota!!

 

Nikal Kar Aagaye DAWAR Yehi Kya Kam Hai Jannat Se!

Agar Hum Khwaishe Hure Jinaa Karte To Kya Hota!!

-+=
Scroll to Top