77.KOI NAMROOD HOGAYA

 

 

Pehle Jo Abd Tha Wahi Maabud Hogaya!

Inkaar Karne wala To Mardud Hogaya!!

 

Aadam Ko Keh Diya Ke Tu He Mera Raaz Hai!

Jis Ne Banaya Khud Wahi Maujood Hogaya!!

 

Koi Samjh Saka Naa Ye Khudrat Ke Bhed Ko!

Maujood Hoke Sab Ka O Masjood Hogaya!!

 

Murshad se Apne Paaliye Rabbul Ula Ko Hum!

Jo Peer Hai Hamara Wo Masood Hogaya!!

 

Inni Anaa Ko Kehna Ye Aasaan To Nahi!

Firon Koi Aur Koi Namrood Hogaya!!

 

Laahaut Ke Mukaam Pe Inni Anaa Durus!

Hameed Koi Bana Koi Mehmood Hogaya!!

 

DAWAR Meri Jabaan Pe Analhaq Ki Hai Sada!

Aawaz Dene Wala He Maujood Hogaya!!

-+=
Scroll to Top