Karbala Mein Sar KataYa Murtaza Ke Laal Ne
Kufr-o-Zulmat Ko Mitaya Murtaza Ke Laal Ne
Qatilon Ke Tegh-o-Khanjar Khud Bakhud Sharma Gaye
Haq Ka Who Johar Dikhaya Murtaza Ke Laal Ne
Yaar Behtar Deen Ke Aur Lakhon The Kuffar Ke
Deen-e-Haq Phir Bhi Bachaya Murtaza Ke Laal Ne
Ta Qayamat Naam Roshan Kar Diye Islam Ka
Deen Ka Parcham Charhaya Murtaza Ke Laal Ne
Naaz Karti Hai Khudai Murtaza Ke Laal Par
Haq Ke Waade Ko Nibhaya Murtaza Ke Laal Ne
Peshkash Jo Thi Yazidon Ki Use Thukra Diya
Sar Nahin Apna Jhukaya Murtaza Ke Laal Ne
Maut Bhi Bekaar Dawar Hai Shaheedon Ke Liye
Kaam Aisa Kar Dikhaya Murtaza Ke Laal Ne