Main Jiska Banda hoon uska Kalaam Karta hoon
Ghulam jis ka hoon us ka hi Kaam Karta hoon
Meri Namaaz mein Qaeda nahin Qiyaam nahin
Main ek Sajde mein hi Subah Shaam Karta hoon
Mera Kalaam Farishte Samajh Nahin Sakte
Kufr Kahe to Kahe who Kalaam Karta hoon
Zubaan Khamosh rahi par Wisaal hota hai
Khamosh reh ke bhi Baatein Tamaam Karta hoon
Jahan Rasaai Farishton ki ho nahin Sakti
Usi jagah pe Hamesha Maqaam karta hoon
Ke Rab ho Saamne Kabe ka Ehteraam Kahaan
Main Dil ke Kabe mein Rab ko Imaam Karta hoon
Hashr ke din mere aaqa ki saari ummat ko
Biraadari rahe dawar who kaam karta hoon