64.RAZZ PAA SAKTE HAI KOUN

 

 

Ishqe Saadik Hai Mera Mujhko Meeta Sakta Hai Kaun!

Shamma Wahidat Mein Jalahu Ab Jala Sakta Hai Kaun!!

 

Maut Kabbal Anta Maut Se Hai Mera Wasta!

Ja Chuka Inni Ana Tak Mujhko Laa Sakta Hai Kaun!!

 

Chasme Dil Mein Noor Ki Ek Shamma Dekho Jal Uti!

Hogaya Roshan Jahan Mein Ab Buja Sakta Hai Kaun!!

 

Laa Ilaa Se Mein Guzar Kar Aya ilallaha Mein!

Pad Liya Kalma Nabi Se Ab Pada Sakta Hai Kaun!!

 

Anfusukum Ka Muamma Nahan Wo Akrab Se Mila!

Ab Kisi Mansoor Ko Suli Chada Sakta Hai Kaun!!

 

Sar Katakar Bola Sarmad Laa Ilaa Anta Ana!

Iske Aage Kuch Nahi Hai Raaz Paa Sakta Hai Kaun!!

 

Hu Ki Taha Tak Jaa Chuka Hun Ye Rafeeqi Hai Karam!

Mein Bhi Wo Gawaas Hun DAWAR Duba Sakta Hai Kaun!!

-+=
Scroll to Top