Mere Dil Mein Ghar Banakar Mujhko Na Bhul Jana!
Mujhko Na Bhul Jana!
Armaan Keh Rahe Hai Tum Chand Banke Ana!
Mujhko Na Bhul Jana!
Wada Jo Karke Hum Se Kis Jaa Chupe Ho Bolo!
Aajavo Mere Murshad Ikrar Hai Nibhana!
Mujhko Na Bhul Jana!!
Wo Din Jo Dil Mein Mere Apna Wo Dil Samakar!
Fir Tum Gaye Ho Jabse Mushkil Huwa Hai Jeena!
Mujhko Na Bhul Jana!!
Mere Nafs Mein Shaitan Zhagda Ye Dalta Hai!
Tum Katal Kardo Usko Dekho Na Bhul Jana!
Mujhko Na Bhul Jana!!
Dil Ka Chirag Mere kyun Dheema Jal Raha Hai!
Aakar Chiraag Mera Roshan Ziyada Karna!
Mujhko Na Bhul Jana!!
Nadan Hun Mein Tera Dar Par Tere Khada Hun!
Meri Khata Ko murshad Akhir Tu Baksh Dena!
Mujhko Na Bhul Jana!!
Aasi Hun Aur Mujhreem Karna Na Dur Mujhko!
Aaqa Rafiq Har Dum DAWAR Ke Sar Pe Rehna!
Mujhko Na Bhul Jana!!
(Man Aarf Se Gujar Kar Khud Aarf Jaan Lena!
Aapni Khudi Miti Toh Aab Kya Raha Hai Bolo!!)