51. Kashti Bha’nvar Se Nikalo

 

Muhammad Pyaare Main Aaoon Tore Taiba Koji

Rasta Khatin Hai Taiba Nagar Ka
Kis Tarah Aaoon Ae Mere Maula

Zar Hai Na Par Hai Mere Aaqa
Tum Bin Waseela Hai Kaun Mera

 

Muhammad Pyaare Main Aaoon Tore Taiba Koji

 

Armaan Hai Mujhko Har Ghadi Har Pal
Aaoon Main Taiba Ko Hind Se Chal

Tum Bin Yeh Mushkil Kaun Kare Hal
Bulwao Mujhko Ae Shah-e-Akmal

 

Muhammad Pyaare Main Aaoon Tore Taiba Koji

 

Ghar Hai Na Dar Hai Shaida Ko Apne
Jaye Madina Qismat Ho Apne

Parwana Jaan Kadmon Pe Apne
Shama Pe Roshan Gar Hai Woh Jalte

 

Muhammad Pyaare Main Aaoon Tore Taiba Koji

 

Sauda Hai Sar Mein Wahdat Ka Apne
Kis Par Gila Hai Qismat Ka Apne

Aajiz Hoon Aisa Rehmat Ka Apne
Saani Nahin Hai Qudrat Ka Apne

 

Muhammad Pyaare Main Aaoon Tore Taiba Koji

 

Ae Mere Aaqa Mujhko Bula Lo
Hind Se Mujhko Jaldi Bula Lo

Dooba Huwa Hoon Gham Mein Apne Teera Lo
Kashti Bha’nvar Se Meri Nikalo

 

Muhammad Pyaare Main Aaoon Tore Taiba Koji

 

Roz-e-Hashr Ke Aap Ho Saani
Hai Kaun Humsar Aap Ka Saani

Ae Mere Dawar Chehra Noorani
Hai Kaun Tum Sa Do Jag Mein Saani

 

Muhammad Pyaare Main Aaoon Tore Taiba Koji

 

Ae Mere Gohar Munawwar Tumhara
Ae Mere Rahbar Aafat Ka Maara

Isko Bula Lo Jald Khudara
Yeh Hai Sana Khawa’n Munawwar Tumhara

 

Muhammad Pyaare Main Aaoon Tore Taiba Koji

-+=
Scroll to Top