Ibtida Mandan Awwal ramz Bismillah hua
Khaak ke putlay mein roshan Noor Noor Allah hua
Kalme ki kul mein nihaan hai posheeda Dono jahaan
La ilaha se hai yahaan Aadam Safi Allah hua
La ilaha ka raaz zaahir dekh le har ek wajood
Rehnuma Haadi Muhammad yeh Rasool Allah hua
Rab ko gar hai dekhna to Mustafa ko dekh lo
Zaahir o Baatin baqaa hum ko Habeeb Allah hua
Awwal o Aakhir wahi aur zaahir o baatin wahi
Ramz-e-irfaan paane yaaro, who baqa Ba Allah hua
Aarifon aur Aashiqon ko dam-ba-dam deedaar hai
Zaahir o baatin tamaami shai se Wajh Allah hua
Dekh lo mere Nabi ka na baap na beta koie
Zaahiran Andhon ne dekha baap Abdullah hua
Ro Ahmed aur Muhammad aur hai Muhamad-e-Haq
Mere Aaqa ki Jaban se ba kalaam Allah hua
Man Arafa aur Qad Arafa mein do jahaan ki Sair hai
Paane Ramz apna Munawwar khud fanaa fi Allah hua