Imam Mursal Rasool-e- Akram
Sada karam ho sada karam
Hamare Haami Rasool-e- sallam
Sada karam ho sada karam
Ae Haami-e-Kul ae Haadi-e-Kul ata ho har dam karam ke saaye
Ae more Sarwar ae more Hamdam sada karam ho sada karam
Imam Mursal ke hum sawali Imam Mursal ke hum atayi
Dikhaye hum ko Vo Hu ka aalam sada karam ho sada karam
Murad hasil hui hai dil ki mila hai hum ko ke Haadi-e-Kul
Madad hamari kiye Vo hardam sada karam ho sada karam
Rasool Akram hue hamare Rasool Akram ka hai sahara
Mila hai hum ko hamara Hamdam sada karam ho sada karam
Karam karo ae karam ke wali dua hai hamari hai Mah-e-Kamil
Murad hasil hui hai har dam sada karam ho sada karam
Irada Daawar ka hai ke mohar mila hai hum ko adam ka mosil
Murad hasil hui damadam sada karam ho sada karam