Karam ki ek nazar mujh par mere Sarkar ho jaye
Mujhe is zindagi mein aap ka deedar ho jaye
Mere dil mein hamesha bas yahi armaan rehta hai
Shah-e-Abrar se milna mera ek baar ho jaye
Tumhare aashiq-e-sadiq ki hasrat kuch na baqi ho
Mere Aaqa karam kar do to beda paar ho jaye
Siwaye aap ke koi nahi humdard hai mera
Inayat aap ki ya Sayyedi Ekbar ho jaye
Khuda ka wastaa ya Mustafa itna karam kar do
Dikha do aap ka jalwa yeh dil sarshar ho jaye
Meri is iltija ko ya Nabi manzoor kar lijiye
Kahin aisa na ho jeena mera bekaar ho jaye
Azal mein aap se daawar jo wada kar ke aaya hai
Yahan bhi aap ko dekhoon ada iqraar ho jaye