36.AHAMAD KA DAMAN

 

 

Ahamad Ka Daman Tu Chodaa Kyun!

Muh Apne Nabi Se Moda Kyun!!

 

Kya Dekhayega Surat Apne Nabi Ko!

Uth Jaag Jara Tu Sootha Kyun!!

 

Kiya Kalu Bala Ka Iqrar Vahan Tu!

Phir Aake Yahan Tu Bhula Kyun!!

 

Fi Anfuskum Tu Kaha Hai Quraan!

Tu Paad Ke Aanjan Baitha Kyun!!

 

Nahnu wa Akrab Toh Haq Ne Kaha Hai!

Padkar Quraan Chodaa Kyun!!

 

Teri Hasti Kya Usko Pehchan Pehle!

Phir Haq Ki Pehchan Huye Na Kyun!!

 

Be Samjhe Ibadath Karta Hai Tu!

Aakhir Vo Guna Huye Na Kyun!!

 

Kar Apni Ibadath Maabudi!

Zahir Ki Ibadath Pe Phulaa Kyun!!

 

Jo Apni Ibadath Huzoori Aada Hai!

MUNAWAR Ke Wasile Se Huye Na Kyun!!

 

Saabit Kiye Hein Mujhko RAFEEQ!

Unki Na Karoon Hamd o Sana Kyun!!

 

DAWAR Mujhe Zikr Lazeem Hai Unka!

Gairon Ko Dil Mein Hai Lata Kyun!!

-+=
Scroll to Top