Ibtida kaam jo kiya hai Khuda leke apna hi naam Bismillah
Jab hidayat kiya Muhammad ko deke apna salaam Bismillah
Jab zubaan par yeh naam aata hai Bigda har kaam Sawar jaata hai
Kaisi tasir hai yeh jumla mein aashiqon par Inaam Bismillah
Har museebat se yeh Bachata hai Sab ke Imaan ko Sajata hai
Mushkilein Sab ki yeh Talata hai kitna Uncha maqam Bismillah
Ism-e-Azam ki jaan hai ismein mere Maula ki Shaan hai Ismein
Yahi Murdon mein jaan laata hai Ism-e-Azam hai Naam Bismillah
Isko paa kar ke Ibn-e-Maryam ne Thokrein se jilaaye hain Murde
Aag ko Gul yeh kar dikhaya hai Dekho Rab ka Nizaam Bismillah
Ek aayat hai Mukhtasir lekin Ismein Chup kar Khuda ki qudrat hai
Zeher Aamrit ka kaam karta hai hai yeh qudrat ka jaam Bismillah
Sar pe Quran ke yeh Taj bana dard-e-dil ka yahi ilaaj bana
Tere dil ka qaraar hai Dawar gunguna tu mudam Bismillah