23. Raahbar Pasand Kiya

 

 

Makeen Ne Rehne Ko Hai Chashm-e-Tar Pasand Kiya

Yeh Kaisi Baat Hai Paani Mein Ghar Pasand Kiya

 

Vo Pathron Ko Yaqeen Bolna Sikhata Hai

Bada Kamaal Hai Aisa Hunar Pasand Kiya

 

Hazaron Sadiyon Se Vo Ek Jagah Nahin Rehta

Musafiron Ki Tarah Hai Safar Pasand Kiya

 

Tere Kamaal Ka Andaza Kya Kare Koi

Nazare Dekhne Sab Ki Nazar Pasand Kiya

 

Talash-e-Yaar Mein Dar Dar Ki Khaak Jo Chhana

Vo Haq Sifaat Ko Kyun Daar Par Pasand Kiya

 

Har Ek Dil Ki Haqiqat Ko Jaanne Wala

Nirali Baat Hai Sheeshe Ka Ghar Pasand Kiya

 

Bade Kamaal Se Ki Intikhab Dawar Ne

Hazaron Lakhon Mein Ek Raahbar Pasand Kiya

-+=
Scroll to Top