Khuda Ki Hasti Ka Unwaan Main Hoon Koi Kya Jaane
Sada Hi Bolta Qur’an Main Hoon Koi Kya Jaane
Farishtay Aur Malaa’ik Meri Hasti Ko kiye Sajada
Yaqeenan Na’ib-e-Rahman Main Hoon Koi Kya Jaane
Khuda Ne Apni Soorat Par Banaya Hai Meri Soorat
Haqeeqat Soorat-e-Rahman Main Hoon Koi Kya Jaane
Khuda Hai Raazdaan Mera Khuda Ka Raazdaan Main Hoon
Bada Sirri Bhar Insaan Mein Hoon Koi Kya Jaane
Khuda Ko Naaz Hai Har Dam Banaya Yaar Vo Apna
Vo Meri Jaan Uski Shaan Main Hoon Koi Kya Jaane
Meri Hasti Ke Andar Dekhlo Saari Khudaai Hai
Khudaaye Paak Ka Deewaan Main Hoon Koi Kya Jaane
Baroz-e-Hashr Main Daawar Bhi Masjood-e-Malaa’ik Hai
Farishton Ka Wahan Sultan Main Hoon Koi Kya Jaane