Hasti yeh Adam Mein Pinha Aye Khuda Tu He To Tha!
Ho Gaya Khud Se Numaya Aye Khuda Tu He To Tha!!
Gark Karke Rakh Diya Tune Mizaaje Kufr Ko!
Nuh Ki Kashti Ka Darmaa Aye Khuda Tu He To Tha!!
Kar Diya Tune Ata Binayi Bhi Yakub Ko!
Ishq Ke Katro Mein Gariyaa Aye Khuda Tu He To Tha!!
Kaam Na Aayi Zulekha Ki Bhi Thohmat Ishq Mein!
Husne Yusuf Chaak Daman Aye Khuda Tu He To Tha!!
Aag Ki Chingariyaon Ne phool Ka Pehna Libaas!
Tha Jo Gulzaar Wo Gulistaa Aye Khuda Tu He To Tha!!
Intehaa qurbaniyo Se Le Liya Tu Ne Magar!
Jo Tha Ismail Shadaan Aye Khuda Tu He To Tha!!
Tur Par Zalwa Dikha Kar Kar Diya Hai Behosh Bhi!
Hazrath Musa Ka Aarmaan Aye Khuda Tu He To Tha!!
Shakal Badlakar Bulaya Paas Apne Issako!
Shakal Issa Par Meherban Aye Khuda Tu He To Tha!!
Surate Ahmed Mein Aakar Chup Gaya Tu Ahad Mein!
Meem Ke Parde Mein Pinhaa Aye Khuda Tu He To Tha!!
Murshad DAWAR Kahe Khalu Bala Jerey Sujood!
Roze Awwal Mein Sukhanda Aye Khuda Tu He To Tha!!