Nazre karam Se Tere Salaamat Hai Zindagi!
Mere Liye To Baare Amaanat Hai Zindagi!!
Jis Dil Mein Hai Khulus Usi Dil Mein Hai Khuda!
Keena Hasad Hai Jis Mein Kayaamat Hai Zindagi!!
Aashiq To Mile To Mile Usko Do Jahan!
Sach Puchiye To Warna Nadamat Hai Zindagi!!
Noore Nazar Mein Noore Khuda Noore Mustafa!
Dil Noor Hogaya Hai Ibaadat Hai Zindagi!!
Haazir Hua Hai Rubaru Aur Dediyaa Hayaath!
Aur Keh Diya Ke Soch Amaanat Hai Zindagi!!
Saalik Banaya Tu Ne To Majjoob Kyun Banu!
Rakhunga Saadgi Se Inayath Hai Zindagi!!
Unka Khayaal Unka Tasawwar Nazar Mein Hai!
DAWAR Yakeen Jaano Karamat Hai Zindagi!!