Duniya Mein Hum To Aaye Hain Bheja Koie Hoga
Us Bhejne Wale Ka Iraada Koie Hoga
Duniya Mein Hum Aaye Hain To Hoga Koie Maqsad
Be Wajah Nahi Aaye Hai Qissa Koi Hoga
Maqsad Ke Bina Baat Koi Ho Nahin Sakti
Yeh Kya Hai Mu’amma Ise Samjha Koie Hoga
Kyun Aaye Hain Duniya Mein Koi Baat To Hogi
Yeh Sochne Wale Ka Bhi Rutba Koie Hoga
Tum Socho Zara Vo Tumhein Insaan Banaya
Insaan Banaya Hai To Mansha Koie Hoga
Jo Hum Ko Banaya Hai Vo Socho Ke Kahaan Hai
Hum Hi Mein Kahi Us Ka Thikaana Koie Hoga
Duniya Mein Bhi Us Yaar Ki Mi’raaj Hai Daawar
Sab Andhe Nahi Usko To Dekha Koie Hoga