Zahe Kismat Hum Haazir Hai Yahan Mehboobe Subhaani!
Shabe Maulood Mein Aaye Hue Hai Gause Jeelani!!
Na Ho Kyun Noor Ki Baarish Yahan Hai Zikre Aaqa Ka!
Badi purnur Mazlis Hai Yahan Hai zikre Noorani!!
Mere Gausulwara Ka Martaba Sabse Nirala Hai!
Lakab Ye Khaas Unko Mil Gaya Mehboobe Subhaani!!
Shikam Se Maa Ke Zaahir Kar Diye Apni Karamat Ko!
Wali Ibne Wali Hai Gaus Mere Peer Laasaani!!
Shabe Mehraaz Hazrath Ko Diye Kandha Shahe Jeelani!
Sare Arsh Mualla Pahunche Mere Shaah Jeelani!!
Khuda Ke Khaas Bando Mein Shumaar Hota Hai Aaqa Ka!
Haqeeqat Leke Aaye Sath Apne Noore Yazdaani!!
Banaye Gyaara Murshad Aur Unke Peer Kehlaye!
Neerali Shaan Wale Hai Hamare Qutube Rabbani!!
Nabi Ke Ankhon Ke Taare Ali Ke Maah Paare Hai!
Mere Gausulwara Hai Fatima Zehra Ke Bhi Jaani!!
Rahe Taa Kayamat Auliya Par Aap Ka Saayaa!
Hua Hai Aur Na Hoga Gaus Jaisa Kaamil Insaani!!
Mere Gausulwara Ki Ye Badi Noorani Mazlis Hai!
Adab Ke Sath Baito Hai Yahan Maulude Samdani!!
Gulaami Mein Rakho Apni Yehi Hai Iltiza Aaqa!
Ye DAWAR Apna Darbani Bulaalo Gause Laasani!!