15.DAWAR SE SAJDA

 

 

Milega Tujhe Ganje Gauhar Se Sajda!

Rafeeqi Khalifaye DAWAR Se Sajda!!

 

Zaroori Hai Sajda Mein Rab Samne Ho!

Zara Sikhle Tu MUNAWAR Se Sajda!!

 

Kazaa Ek Namaz Apni Hoti Nahi Hai!

Ata Ho Gaya Hum Ko Dilbar Se Sajda!!

 

Jo Kamil Hai murshad Wahi Jaanta Hai!

Ke Sar Ke Liye Kiske Hai Dar Se Sajda!!

 

Kiya Sajda Murshad Ko Kya Hai Burai!

Ke Pathar Bhi Leta Hai Pathar Se Sajda!!

 

Kataya Hai Sajde Mein Shabbir Ne Sar!

Na kyun Maangle Hum Usi Sar Se Sajda!!

 

Tu Karta Hai Sajda Ye Sajda Hai Kiska!

Na Samjha To Jaa Puch DAWAR Se Sajda!!

-+=
Scroll to Top