Peer Ke Paas Jald Aanare
Apne Imaan Ko Sajanare
Le Waseela Tu Peer Kaamil Ka
Warna Dozakh Hi Mein Thikanare
Kyun Tu Ghaflat Mein Hai Are Nadaan
Parda Ghaflat Ka Tu Hatanare
Khel Aur Kood Mein Tu Rehta Hai
Apne Aaqa Ko Kab Hai Mananare
Yeh Bhi To Ain Hai Farz Tera
Zindagi Mein Khuda Ko Hai Paanare
Mard-e-Momin Talaash Kar Pehle
Apni Qismat Ko Gar Jagaanare
Apna Maqsad Tamaam Paayega
Peer Daavar Ke Paas Jaanare