Zindagi Tu Hi Bata Main Kya Karoon Main Kya Karoon
Milta Nahin Dil Ka Pata Main Kya Karoon Main Kya Karoon
Yeh Samajhta Main Raha Tha Dil Meri Jageer Hai
Is Mein Hai Ek Dilruba Main Kya Karoon Main Kya Karoon
Main Raha To Tu Nahin Tu Raha To Main Nahin
Ho Gaya Main Lapata Main Kya Karoon Main Kya Karoon
Dil Mein Yeh Armaan Tha Yaar Ko Sajde Karoon
Yaar Hi Sajde Mein Tha Main Kya Karoon Main Kya Karoon
Who Hai Mujh Mein Aks Bankar Main Hoon Uska Aaina
Who Hai Mujh Mein Dekhta Main Kya Karoon Main Kya Karoon
Wasl Ki Hasrat Thi Mujhko Kat Gayi Meri Zabaan
Who Hai Mujh Mein Bolta Main Kya Karoon Main Kya Karoon
Tum Hi Daavar Ho Mere Daavar-e-Mahshar Tumhein
Koi Nahin Hai Doosra Main Kya Karoon Main Kya Karoon